Aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
         aaj ki raat
         aaj ki raat mohabbat hai jawaan
         koyi dekhe meri duniyaa kaa samaan - 2
         aaj ki raat
         aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
         aaj ki raat
         koyi ayegaa yahaan pyaar ki duniyaa le kar - 2
         dil mein aramaan to aankhon mein tamannaa le kar - 2
         muskaraayegaa mohabbat kaa jahaan - 2
         aaj ki raat
         aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
         aaj ki raat
         jab sunaayegaa mohabbat kaa fasaanaa koyi - 2
         pyaar mein duubaa huaa dil kaa taraanaa koyi - 2
         do dil ho jaayenge phir ek yahaan - 2
         aaj ki raat
         aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
         aaj ki raat
         raat ye pyaar ki hai isakaa saveraa na ho - 2
         aaj ke chaand ki qismat mein andheraa na ho - 2
         aaj ki raat rahe yuun hi jawaan - 2
         aaj ki raat
         aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
         aaj ki raat.